Desh Bhakti Shayari in Hindi - Indian Army Shayari

Desh Bhakti Shayari in Hindi - Indian Army Shayari
Desh Bhakti Shayari in Hindi - Indian Army Shayari


Waqt aa gaya hai ab duniya ko saaf-saaf kehna hoga,

Desh prem ki prabal dhaar mein har man ko behna hoga,
Jise tiranga lage paraya, mera desh chhod jaaye,
Hindustan mein Hindustani bankar hi rehna hoga.
Aaj shaheedon ne hai tumko ehle watan lalkara,

Todo ghulami ki zanjeerein, barsaao angara,
Hindu, Muslim, Sikh hamara bhai-bhai pyara,
Yeh hai azadi ka jhanda, ise salaam hamara.

Goonje kahin par shankh, kahin pe ajaan hai

Bible hai, Granth Sahab hai, Geeta ka gyan hai,
Duniya mein kahin aur yeh manzar naseeb nahi,
Dikhao zamaane ko yeh Hindustan hai.
Azm-E-Bafa Mere Watan Ke Saath,

Meri Khushiyan Mere Watan Ke Saath,
Mera Khoon Paseena Watan Ke Naam,
Ye Zazbaa Mere Khaabon Ke Saath.

Har waqt meri aankho me dharti ka swpan ho.

Jab kbhi mru to tirnga mera kfan ho.
Aur koi khwahis nahi zindgi me.
Jab kbhi janmu to BHARAT mera vatan ho.
Utha kar Talvar jab ghode pe sawar hote

Baandh ke Saafa jab tayyar hote
Dekhti hai duniya chhat pe chadke
Kehte hai ki kaash hum bhi aise hoshiyaar hote

Post a Comment

0 Comments